EvernewSMS.com

Barbaad wafa ka afsana

Tags:

Nikle thay kaha jane ke liye, pahunche hai kaha malum nahi
Ab apne bhatakte kadamon ko ,manzil ka nishan malum nahi!

Barbaad wafa ka afsana, hum kiss se kahe aur kaise kahe
Khamosh hai lab aur duniya ko, ashqon ki zuban malum nahi!

Dil shola-e-gham se khaak hua, ya aag lagi armaanon mein
Kya cheez jali kyun seene se, uthta hai dhuan malum nahi!

Humne bhi kabhi iss gulshan ka, ek khwaab bharon ka dekha tha
Kab phool jhare, kab gard udi, kab aayi khizaan malum nahi!

More SMS Messages:

  1. Dekh Ke Aapko Har Kali Gungunane Lagi
  2. Jis say mohabat ki wo be-wafa nikli
  3. Pyar mein wafa ki rahein nahi milti
  4. Mery Wajod me Teri b jan ho shayid